ye hangame tamashe kam na honge magar mahfil mein teri hum na honge badhao khauf se kashti na roko mashihao ye tufan kam na honge shab-e-hijran sitare gin rahe ho sitare zakhm ka marham na honge zabanon par laga do qufl lekin kabhi ulfat ke charche kam na honge chalenge tab sabhi be-khauf ho kar kisi ke hath mein jab bam na honge yahan jamhuriyat kuchli gai hai fasadat-o-tassub kam na honge ghazal-goi chalegi yun hi 'zakir' hamare jaise honge hum na honge