ye kaisa sansar hai baba har-su haha-kar hai baba jo bhi yan zardar hai baba beda us ka par hai baba daulat par mat itna akdo ret ki ye diwar hai baba sharm-o-haya se jo aari hai aaj wahi hushiyar hai baba jiwan ek dariya hai gham ka phir bhi ye uphaar hai baba tedhe sidhe ho jate hain waqt ki aisi mar hai baba 'akhtar' har pal bach ke rahna baatil ki sarkar hai baba