wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha ek pighalti mom ka sayyal paikar samne tha main ne chaha aane wale waqt ka ek aks dekhun be-karan hote hue lamhe ka manzar samne tha apni ek pahchan di aai gai baaton mein us ne aaj wo apne talluq se bhi badh kar samne tha main ye samjha tha ki sargarm-e-safar hai koi tair jab ruki aandhi to ek girta hua par samne tha main ne kitni bar chaha khud ko laun raste par main ne phir koshish bhi ki lekin muqaddar samne tha sard jangal ki siyahi pat kar nikle hi the hum aakhiri kirnon ko tah karta samundar samne tha tutna tha kuchh ajab qahr-e-safar pahle qadam par mud gai thi aankh hansta khelta ghar samne tha pusht par yaron ki paspai ka nazzara tha shayad dushmanon ka muskuraata ek lashkar samne tha aankh mein utra hua tha sham ka pahla sitara raat khali sar pe thi aur sard bistar samne tha