wo kabhi mail-e-wafa na hua mera chaha hua bura na hua mar gae wasl-e-dil-ruba na hua muddaa hasb-e-muddaa na hua us se mazmun bandha na choti ka zulf-e-jaanan pe jo fida na hua qaid-e-marqad mili pas-e-murdan jaan de kar bhi mein riha na hua tu ne yarab zaban to di mujh ko shukr tera magar ada na hua dam nikalta buton pe kya lekin ye bhi ek maut ka bahana hua faiz-e-'ishrat' se ab tu ai 'nadir' mein bhi ek shaer-e-yagana hua