wo kahte hain aao meri anjuman mein magar main wahan ab nahin jaane wala ki aksar bulaya bula kar bithaya bitha kar uthaya utha kar nikala nashat-o-alam ke safed-o-siyah ne hamari nigahon ko hairat mein dala idhar raushni hai udhar tirgi hai kahin hai andhera kahin hai ujala mera dard puchha mera haal dekha mere dil ka arman tum ne nikala khuda aur bhi de zyaada maraatib siwa aur is se bhi ho bol-baala padi niw aapas mein go dosti ki magar dosti kis tarah nibh sakegi use hai nazakat mujhe hai naqahat na wo aane wala na main jaane wala shiwale ki jaanib qadam kyun badhaun nazar kis liye su-e-masjid uthaun idhar kah raha hai udhar sun raha hai koi kahne wala koi sunne wala hamin par huin kya hazaron jafaen hazaron par aain hazaron balaen zamane mein koi sambhalne na paya kisi shokh ne hosh jab se sambhaala wo aae the pahlu mein behosh tha main hui hogi dil par bahut kuchh nawazish magar kya khabar mujh ko allah jaane tamanna nikali ki kanta nikala hazaron bala-nosh idhar bhi udhar bhi mili itni fursat kahan mai-kade mein raha kaam pine pilane se sab ko na dhoi surahi na saghar khangala mohabbat ke jogi sitam ke birogi wafa ke bhikari jafa ke pujari jahan dekh pate hain jalwa buton ka bichhate hain apna wahin mirg-chhaala chura le gaya koi dil bhi jigar bhi uda le gaya koi sabr-o-sukun bhi yaqin hai tamanna nikalte nikalte nikal jaega aashiqon ka diwala watan se nikal kar akele chale the magar khush-yaqini ke qurban jaen mila dasht-e-ghurbat mein ek ek qadam par hamein ek na ek jaan-pahchan wala fughan ki bhi imdad hasil karun main mohabbat ko bhi kuchh tawajjoh dilaun bharam jazb-e-dil ka nikalne na pae nikal aae parde se wo parde wala ghazab dha gain sidhi-sadi adaen sitam kar gain tirchhi banki nigahen yahi shor uttha jidhar se wo guzre mujhe mar dala mujhe mar dala idhar tur par ghash mein musa pade hain udhar hatif-e-ghaib ye kah raha hai zara kholiye aap aankhen to apni qarib aa gaya dekhiye dur wala ye matlab tha arman us ke na niklen jo tadpen to kuchh aur pechidgi ho mere khana-e-dil mein ranj-o-alam ne tana har taraf khub makdi ka jala tumhaara sana-khwan tumhaara dua-go tumhaara fidai tumhaara salami ye kya kah diya us ne waqif nahin hum wahi han wahi 'nuh' tufan wala