yun to har dil mein ghaw hai baba warna sab rakh-rakhaw hai baba ab kahan hai wafa ki thandi hawa sari basti alaw hai baba kanpte hont murtaish fiqre kis ko kis se lagao hai baba maut bahti hui nadi ki tarah zist kaghaz ki naw hai baba mujh ko taswir-e-zindagi na dikha mujh mein gautam ka bhaw hai baba