wo khud ko mere andar dhundta hai wo surat hai ye surat-ashna hai magar ye apne apne daere hain koi naghma koi naghma-sara hai wo baadal hai to kyun hai ju-e-kam-ab samundar hai to kyun par taulta hai nadi ke darmiyan sidhi sadak hai nadi ke par kachcha rasta hai wo na-maujud har shai mein hai maujud ye aalam bhi ajab hairat-faza hai na jaane kya sar-e-nazzara hoga use dekha nahin dil mubtila hai