wo raat be-panah thi aur main gharib tha wo jis ne ye charagh jalaya ajib tha wo raushni ki aankh uthai nahin gai kal mujh se mera chand bahut hi qarib tha dekha mujhe to taba rawan ho gai meri wo muskura diya to main shaer adib tha rakhta na kyun main ruh o badan us ke samne wo yun bhi tha tabib wo yun bhi tabib tha har silsila tha us ka khuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khatib tha mauj-e-nashat o sail-e-gham-e-jaan the ek sath gulshan mein naghma-sanj ajab andalib tha main bhi raha hun khalwat-e-jaanan mein ek sham ye khwab hai ya waqai main khush-nasib tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke bab mein khud mera tajraba hai wo be-had najib tha dekha hai us ko khalwat o jalwat mein bar-ha wo aadmi bahut hi ajib-o-gharib tha likkho tamam umar magar phir bhi tum 'alim' us ko dikha na pao wo aisa habib tha