wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae dil wo zalim ki usi shakhs pe marta jae mere pahlu mein wo aaya bhi to khushbu ki tarah main use jitna sametun wo bikharta jae khulte jaen jo tere band-e-qaba zulf ke sath rang-e-pairahan-e-shab aur nikharta jae ishq ki narm-nigahi se hina hon rukhsar husn wo husn jo dekhe se nikharta jae kyun na hum us ko dil-o-jaan se chahen 'tishna' wo jo ek dushman-e-jaan pyar bhi karta jae