wo lab ki jaise saghar-e-sahba dikhai de jumbish jo ho to jam chhalakta dikhai de dariya mein yun to hote hain qatre hi qatre sab qatra wahi hai jis mein ki dariya dikhai de kyun aaina kahen use patthar na kyun kahen jis aaine mein aks na us ka dikhai de us tishna-lab ke nind na tute dua karo jis tishna-lab ko khwab mein dariya dikhai de kaisi ajib shart hai didar ke liye aankhen jo band hon to wo jalwa dikhai de kya husn hai jamal hai kya rang-rup hai wo bhid mein bhi jae to tanha dikhai de