wo mai-parast hun badli na jab nazar aai

wo mai-parast hun badli na jab nazar aai
simat gain jo siyah-kariyan ghata chhai

safed baal hue shab hui jawani ki
damida subh hui chaunk sar pe dhup aai

haram mein khak hua hun wo aashiq-e-barbaad
miyan-e-dair hawa-e-butan uda lai

main wo hun bulbul-e-bagh-e-jahan koi gul ho
diya dil us ko mohabbat ki jis mein bu pai

chaman mein ja ke jo puchha bahaar-e-gul ka sabaat
khili na thi jo kali muskura ke murjhai

hisar-e-husn ke haale mein munh nazar aaya
mila ke hath jo li us hasin ne angdai

main wo kisan hun kheti pe barq ne jis ki
dua jo meinh ke liye ki to aag barsai

rahe mudam yunhi ishq mein tah-o-baala
jo gham se baith gaya dil to uthne aankh aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close