wo mera hoga ye socha hi nahin khwab aisa koi dekha hi nahin yun to har hadsa bhula lekin us ka milna kabhi bhula hi nahin meri raaton ke siyah aangan mein chand koi kabhi chamka hi nahin ye talluq bhi rahe ya na rahe dil-qalandar ka thikana hi nahin