ye aarzu thi use aaina banate hum aur aaine ki hifazat mein tut jate hum tamam umr bhatakte rahe ye kahte hue ki ghar banate sajate use bulate hum har aadmi wahan masruf qahqahon mein tha ye aansuon ki kahani kise sunate hum bigade baithe the taqdir apne hathon se hatheliyon ki lakiren kise dikhate hum khuda ne itna karam aur kar diya hota ki jis ne zakhm diye us ko bhul jate hum kuchh is sabab se bhi ye zakhm la-dawa thahre har ek shakhs ka ehsan nahin uthate hum tu apne gham se hi khali kahan hai ai 'tariq' jo tere pas kabhi aa ke baith jate hum