ye paikar-e-jamal to itab ke liye nahin mere khuda ye aadmi azab ke liye nahin tujhe hai shauq-e-bandagi bahisht ke khayal se magar meri ibaadaten sawab ke liye nahin ye mujh se ehtiraaz kyun ye mujh se ijtinab kyun sawal tujh se hai magar jawab ke liye nahin janab kyun udas hain janab kyun malul hain ye gham to hain mere liye janab ke liye nahin jise pasand aaega wo tod lega shakh se aman apne bagh mein gulab ke liye nahin jo gham utha chuka hai to unhen na ab shumar kar ye mukhtasar si zindagi hisab ke liye nahin zamin pe 'shahid'-e-hazin haqiqaten talash kar ye dasht-e-zindagi kisi sarab ke liye nahin