wo mujhko dekh na pae main mustaqil dekhun

wo mujh ko dekh na pae main mustaqil dekhun
sitara jaise koi dur jagmagae kabhi

banun main lahr kabhi aur wo mera sahil ho
main us ko dhundne jaun wo mujh ko pae kabhi

ghubar-e-rah ki wahshat hawa pe likkhi thi
magar ye log wo tahrir padh na pae kabhi

tumhaare shahr se izzat junun ki jati hai
gharon pe shishe lagao ki sang aae kabhi

yahi dua hai meri bas ki mere rabb-e-azim
gaya hai ab jo musafir to laut aae kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close