wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha

wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha
main ne chaha hi nahin us shakhs ko samjha bhi tha

thi tamazat ishq ki itni ki wo wapas gaya
sath chalne ke liye kuchh dur tak aaya bhi tha

ye haqiqat hi sahi lekin use manega kaun
log pyase bhi rahe aur aankh mein dariya bhi tha

is qadar chaha use jitna nahin chahe koi
ye mohabbat hi nahin us se mera badla bhi tha

khud yaqin dil ko na tha is se juda hone talak
wo juda ho jaega is baat ko socha bhi tha

hijr ki shab mein jo meri aankh se dhalka nahin
wo sitara tha jo subh-e-wasl mein chamka bhi tha

dasht-e-viran mein kahin kuchh phul bhi hain yaad ke
sirf chhaya hi nahin baadal kabhi barsa bhi tha

is shanasai ka dawa na-shanasi hi to hai
mujh ko dekha bhi tha jis ne aur jo chaunka bhi tha

ab main lab-basta hun 'adil' to faqat is waste
sirf samjha hi nahin us shakhs ko chaha bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close