yahi buniyaad-e-nazm-e-alam hai har masarrat ki intiha gham hai ye mila arz-e-muddaa ka jawab aaj un ka mizaj barham hai ab na dast-e-karam na wo daman dil pareshan hai aankh pur-nam hai ai ajal manzil-e-hayat bata log kahte the fasla kam hai kis qadar khush-nasib hun 'mahir' mere daman mein daulat-e-gham hai