ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin faqat is liye ye hijab hai ki kisi ko tab-e-nazar nahin kaho kuchh haqiqat-e-mushtahar ki mujhe kahin ki khabar nahin ye manazir-e-do-jahan hain kya jo fareb-e-zauq-e-nazar nahin kisi aah mein nahin soz jab kisi nale mein jab asar nahin ye kamal-e-sozish-e-dil nahin ye farogh-e-dagh-e-jigar nahin chamak uth rahi hai jo pai-ba-pai ye tajalliyon ka khazana hai ye hujum-e-barq-e-tapan nahin ye mata-e-dard-e-jigar nahin ye hai ehtimam-e-hijab kyun ye hai band-o-bast-e-naqab kyun tumhein aankh bhar ke main dekh lun wo nazar nahin wo jigar nahin wo rahin-e-lazzat-e-gham hun main na mili azal mein jise tarab main hi us karam ka tha muntazir main hi mustahiq tha magar nahin kabhi waqt-e-naz-o-niyaz hai kabhi mahw-e-zulf-e-ayaz hai magar us pe bhi dil-e-ghaznawi karam-ashna-e-nazar nahin ye tayyunat-e-nizam the faqat ek parda-e-masiwa khabar us ki jab se hui mujhe koi is jahan ki khabar nahin tujhe kar-gah-e-fana bata inhi hastiyon pe ghurur hai jo sharik-e-sud-o-ziyan nahin jo rahin-e-naf-o-zarar nahin chamak ai charagh-e-zamir ab ki tulua mehr-e-kamal ho wo lahad hun tira-o-tar main ki jahan bayaz-e-sahar nahin na wo soz hai na wo saz hai na wo dil khazana-e-raaz hai wo sharar hun jis mein dhuan nahin wo hajar hun jis mein sharar nahin nazar us ki hai meri samt abhi mera daman-e-goharin na dekh abhi khun-e-dil hai ruka hua abhi aansuon se ye tar nahin chamak ai tajalli-e-dil-ruba nikal ai khulasa-e-dua ki nazara-e-do-jahan faqat ye maal-e-zauq-e-nazar nahin ye jubba-sai-e-be-mahal mujhe shab ko de rahi thi khabar na mita de zulmat-e-dahr jo wo nishan-e-sajda-e-dar nahin ye taghayyuraat-e-jahan nahin asar-e-talawwun-e-taba hai teri ek nazar ka karishma ye falak ki gardish-e-sar nahin kaho shama se ki ye naql kya koi apna qissa-e-gham kahe kare ab fasane ko mukhtasar ki mujhe umid-e-sahar nahin hai talash apni faqat mujhe main milun to hongi shikayaten mujhe ab kisi se gila nahin mujhe ab kisi ki khabar nahin yahi manzilen hain wo manzilen ki jahannam un se panah le dil-e-na-shanas-e-rah-e-wafa mujhe koi khauf-o-khatar nahin meri ghaflaton ka gila na kar yahi nazm-e-kaun-o-fasad hai khabar is tilism-e-numud ki mujhe ho chuki hai magar nahin sabaq us se le ki khabar mile tujhe aane wale zamane ki hai taghayyuraat ka aaina ye shikasta kasa-e-sar nahin ye hain dar teri nigah ke kisi na-tawan se rukenge kya dil-e-dagh dagh-e-'aziz' hai sitam-azma ye sipar nahin