yun kahne ko khanjar ko bhi khanjar hi kahenge par kya tere abru ke barabar hi kahenge zahid jo maza mai mein yahan puchh na hum se kahna hai jo kuchh wo lab-e-kausar hi kahenge mana na karen wada hamein bhi to kahen wo gar kuchh nahin haal-e-dil-e-muztar hi kahenge sunne ki koi had bhi hai han puchhte kyon ho hum haal bhi apna sar-e-mahshar hi kahenge do lafzon mein kyunkar ho na sunna hai na suniye hum kahne ko baithenge to daftar hi kahenge sunne ko to kya jaaniye kya kya na sunenge kahne ko to haal-e-dil-e-muztar hi kahenge is mein teri mizhgan ho ki ho gosha-e-abru chubh jae jo dil mein use nashtar hi kahenge yun kaam kiye us ne hazaron hamein kya kaam hum aaina-sazi-e-sikandar hi kahenge tum ne bhi to dekha hai 'fahim' us ko kaho na hum apni si kahne ko barabar hi kahenge