wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai wo sajda-e-shauq aur wo mehrab kahan hai hai aabla-pai hi tera naqsh-e-kaf-e-pa sahra-e-laq-o-daq hai yahan aab kahan hai auraq-e-dil-o-jaan mein hain kuchh dagh hi baqi wo ishq-o-aqidat ka hasin bab kahan hai ek ashk-e-nadamat ke siwa kuchh bhi nahin hai palkon pe sajaya hua wo khwab kahan hai ab durd-e-tah-e-jam hai ya tishna-labi hai sahba wo kahan saghar-e-mahtab kahan hai kya tut gae aap hi shabnam ke wo dhage wo pyar ka resham dil-e-betab kahan hai 'tanwir' rah-e-zist mein tanha ye safar kyun wo lutf kahan pursish-e-ahbab kahan hai