ye faza-e-saz-o-muzrib ye hujum-e-taj-e-daran chalo aao hum bhi niklen ba-libas-e-sogwaran ye fusun-e-ru-e-laila ba-azab-e-jaan-e-majnun wahi husn-e-dasht-o-dar hai ba-tawaf-e-jaan-nisaran gham-e-karwan ka aakhir koi rukh na us se chhuta wo hadis kah gai hai ye hawa-e-rah-guzaran wo tassub-e-barhaman jo sanam ko dhaalta hai rukh-e-naqsh par bhi aaya ye sipas-e-naqsh-e-karan ba-khayal-e-dost aakhir koi khwab-e-ham-kinari koi khwab-e-ham-kinari shab-e-khwab-e-be-qararan sar-e-kisht-e-ghair kya kya ye ghata baras rahi hai koi hum se aa ke puchhe asar-e-dua-e-baran wo shikast-e-khwab-e-mahfil wo hawa ke chaar jhonke lagi dil pe tir ban kar dam-e-subh yaad-e-yaran