zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein aam hai daur-e-mai-e-gulfam tere shahr mein kis qadar mashhur hain wo log jo hain bul-hawas aur ek hum hain ki hain badnam tere shahr mein koi saudai koi kahta hai diwana mujhe roz milta hai naya ek nam tere shahr mein hum junun-e-ishq ke ba-wasf bhi hoshyar hain subh tere shahr mein hain sham tere shahr mein zindagi mujh ko mile ya maut ka ho samna jo bhi hona hai wo ho anjam tere shahr mein kar-farma teri nazren hukmaran tera jamal kanpti hai gardish-e-ayyam tere shahr mein har taraf aish-o-masarrat har taraf mauj-e-'shamim' lutf-saman zindagi hai aam tere shahr mein