wo tez-rau tha magar ruk ke dekhna us ka

wo tez-rau tha magar ruk ke dekhna us ka
musafiron pe to uqda na khul saka us ka

wo nek-dil hai bhala hai khuda-shanas bhi hai
kise rawa hai ki dil se kare gila us ka

shajar ne pat uthae to hum bhi jag uthe
hamein tha pesh zamane mein faisla us ka

wo mere nam ki tasbih kyon nahin karta
mohabbaton mein rawayya hai aam sa us ka

kisi kisi ko banate hain raazdar apna
kisi kisi ko sunate hain marsiya us ka

jamal-e-yar ka naqsha kahin se khinchta hai
wara-e-fahm se uthta hai zawiya us ka

ye lag raha hai mohabbat ki umr khatm hui
ki hijr phailta jata hai ja-ba-ja us ka

wahi 'adan' jo sitaron ki baat karta tha
khud apna chand to gahna ke rah gaya us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close