ye silsile bhi rifaqat ke kuchh ajib se hain ki dur dur ke manzar bahut qarib se hain qaba-e-zar hai ana ki agarche zeb-e-badan magar ye ahl-e-hunar dil ke sab gharib se hain yahan to sab hi ishaaron mein baat karte hain ajib shahr hai is ke makin ajib se hain main zindagi mein marungi na jaane kitni bar mujhe khabar hai ki rishte mere salib se hain ye aur baat ki us ki chahak se khilta hai hazar shikwe magar gul ko andalib se hain use to apni khabar bhi yahan nahin milti umiden tum ko bahut jis alam-nasib se hain