yaqin had se baDha tha guman se pahle

yaqin had se badha tha guman se pahle
jabin pe zakhm saja tha nishan se pahle

use bhulane ke raste mein kitni yaaden thin
shadid dhup mili saeban se pahle

phir us ke baad hawaon se jang karta raha
diya jala tha badi aan-ban se pahle

mere khilaf muqabil na tha munafiq tha
jawab dhundh raha tha bayan se pahle

natija us ke hi haq mein hai ab mohabbat ka
jo sath chhod gaya imtihan se pahle

charagh-e-sham ki surat mein us ki yaad aai
andhere phailte jate the shan se pahle

tamam shahr ne izzat usi se hasil ki
jo rasm aai hamare makan se pahle

dayar-e-jaan pe bhi kuchh barish-e-karam ho jae
basao dil bhi kisi ka makan se pahle

shikasta dil ke liye the jo aasra 'adil'
wo tare tut gae aasman se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close