ya rab ye jahan-e-guzran KHub hai lekin

ya rab ye jahan-e-guzran khub hai lekin
kyun khwar hain mardan-e-safa-kesh o hunar-mand

go is ki khudai mein mahajan ka bhi hai hath
duniya to samajhti hai farangi ko khudawand

tu barg-e-gaya hai na wahi ahl-e-khirad ra
o kisht-e-gul-o-lala ba-bakhshad ba-khare chand

hazir hain kalisa mein kabab o mai-e-gulgun
masjid mein dhara kya hai ba-juz mauiza o pand

ahkaam tere haq hain magar apne mufassir
tawil se quran ko bana sakte hain pazand

firdaus jo tera hai kisi ne nahin dekha
afrang ka har qarya hai firdaus ki manind

muddat se hai aawara-e-aflak mera fikr
kar de ise ab chand ke ghaaron mein nazar-band

fitrat ne mujhe bakhshe hain jauhar malakuti
khaki hun magar khak se rakhta nahin paiwand

darwesh-e-khuda-mast na sharqi hai na gharbi
ghar mera na dilli na safahan na samarqand

kahta hun wahi baat samajhta hun jise haq
ne aabla-e-masjid hun na tahzib ka farzand

apne bhi khafa mujh se hain begane bhi na-khush
main zahr-e-halahal ko kabhi kah na saka qand

mushkil hai ek banda-e-haq-bin-o-haq-andesh
khashak ke tode ko kahe koh-e-damawand

hun aatish-e-namrud ke sholon mein bhi khamosh
main banda-e-momin hun nahin dana-e-aspand

pur-soz nazar-baz o niko-bin o kam aarzu
aazad o giraftar o tahi kesa o khursand

har haal mein mera dil-e-be-qaid hai khurram
kya chhinega ghunche se koi zauq-e-shakar-khand

chup rah na saka hazrat-e-yazdan mein bhi 'iqbaal'
karta koi is banda-e-gustakh ka munh band


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close