yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai

yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai
aur tasawwur mein wo zalim be-dhadak aa jae hai

baithe baithe yaad jab wo bewafa aa jae hai
yun lage hai jaise dil pahlu se nikla jae hai

us ke rukh par zulf jab shokhi se lahra jae hai
kya kahun us waqt dil mein kya khayal aa jae hai

kya kahun us ki judai kya ghazab dha jae hai
jite ji hi mujh ko marne ka maza aa jae hai

itna hi nazdik tujh ko pa raha hun dil se main
jis qadar o bewafa tu dur hota jae hai

jitni jitni badh rahi hain ishq ki majburiyan
utna utna zindagi ka lutf badhta jae hai

yaad aana us ka furqat mein qayamat ho gaya
lakh samjhata hun par dil hai ki machla jae hai

yun na thukra iltija barbaad dil par rahm kar
sabr ka daman mere hathon se chhuta jae hai

jab kami mahsus hogi un ko meri har jagah
wo zaman-e-hijr mein nazdik aaya jae hai

jab nahin hota koi gham ka meri fariyaad-ras
dard-e-dil ash'ar ke sanchon mein dhalta jae hai

jab umandta hai dil-e-pur-gham wufur-e-dard se
phir kahan palkon se ashkon ko sanbhaala jae hai

ho ke sharminda koi mail ho jis dam lutf par
be-khudi-e-shauq mein phir kis se sambhla jae hai

ek payam-e-na-shunida nala-e-na-afrid
hae wo naghma jo saz-e-dil pe gaya jae hai

ashk bhar-bhar aae hain is waqt aankhon mein meri
apni barbaadi ka manzar kis se dekha jae hai

shikwa aa hi jae hai 'sahir' lab-e-mayus par
yurish-e-gham se dil-e-nakaam ghabra jae hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close