ye chand sitaron ki ziya kam to nahin hai jalta hua har samt diya kam to nahin hai main kyon karun asbab o muqaddar pe bharosa mere liye ek nam-e-khuda kam to nahin hai paison se to lete hain faqiron ki duaen ye apne buzurgon ki dua kam to nahin hai maghrib ki fusun-saz hawaon se gharaz kya mashriq mein meri baad-e-saba kam to nahin hai kyon hath mere khun se rangte ho tum apne surkhi ke liye rang-e-hina kam to nahin hai karte hain 'jamil' aap jo marne ki tamanna is dahr mein jine ka maza kam to nahin hai