yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah fasl-e-gul aai imtihan ki tarah sehn-e-gulshan mein bahr-e-mushtaqan har rawish khinch gai kaman ki tarah phir lahu se har ek kasa-e-dagh pur hua jam-e-arghawan ki tarah yaad aaya junun-e-gum-gashta be-talab qarz-e-dostan ki tarah jaane kis par ho mehrban qatil be-sabab marg-e-na-gahan ki tarah har sada par lage hain kan yahan dil sambhaale raho zaban ki tarah