ye meri baat ghalat Dhang se sunate hain

ye meri baat ghalat dhang se sunate hain
kuchh aur main ne kaha tha ye kuchh batate hain

tamam umr kabhi hum ne ye nahin socha
hum aae kis liye aur kyon yahan se jate hain

safar ye chah ka hai saz-baz rah ka hai
kharab-o-khasta chalo apne ghar ko jate hain

charaghan un ke liye hai hamari barbaadi
ba-nam-e-raushni ye bastiyan jalate hain

tumhaari aankhon ne dil ko asir rakha hai
tumhaari aankhon mein hum dubte hi jate hain

hamein sunate hain wo dastan nai se nai
phir is ke badle mein hum shairi sunate hain

tumhein bataen miyan hota kya hai bazi mein
wo chaal chalta hai to sab hi haar jate hain

hum us se hath milate hain haal puchhte hain
hum us ko jaante hain ye use jatate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close