ye aur baat jigar laKHt-laKHt ho jata

ye aur baat jigar lakht-lakht ho jata
us ek pal ke liye dil bhi sakht ho jata

huzur-e-shah sar-e-taslim kham jo kar dete
bana hai aaj jo takhta wo takht ho jata

nasib katib-e-taqdir hi to likhta hai
hamara likkha hua kaise bakht ho jata

phir is ke ba'd sabhi manzilen hamari thin
ye hausla hi safar ka jo rakht ho jata

use bhi chus gai zard bail furqat ki
mohabbaton ka wo pauda darakht ho jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close