yun teri aamad pe mera suna ghar raushan hua gham-kade mein jaise tu misl-e-qamar raushan hua gardish-e-gham mein hua hamdam mera zauq-e-safar aur hasrat ke diye se rahguzar raushan hua ishq ki chingari to andar mere maujud thi yaad ki mahfil saji jab wo sharar raushan hua doston ki dushmani ka zahr hans kar pi gaya aisa ye tiryak tha jis se jigar raushan hua raushni ki justuju mein aql jab hairan hui to basirat ki kiran se dil ka dar raushan hua