ye na samjho ki kisi dard ke izhaar mein thi aarzu waqt ke tute hue pindar mein thi jaane kya dhundhta phirta tha yahan mera wajud ek udasi mere ghar ke dar-o-diwar mein thi meri takhil mein alfaz ki zanjiren thin zindagi warna zamane teri raftar mein thi karti phirti thi ujalon ki qaba meri talash aur main thi ki andheron ke kisi ghaar mein thi log samjhe hi nahin mere hunar ko warna mujh mein fankar tha poshida main fankar mein thi