yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do

yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do
wafur-e-jazb se tutu magar sunai na do

zamin se ek talluq hai na-guzir magar
jo ho sake to ise rang-e-ashnai na do

ye daur wo hai ki baithe raho charagh-tale
sabhi ko bazm mein dekho magar dikhai na do

shahanshahi bhi jo dil ke ewaz mile to na lo
faraaz-e-koh ke badle bhi ye tarai na do

jawab-e-tohmat-e-ahl-e-zamana mein 'khurshid'
yahi bahut hai ki lab si rakho safai na do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close