ye jam-o-baada-o-mina to sab dilase hain labon ko dekh wahi umr-bhar ke pyase hain karo jo yaad to hum se bhi nisbaten hain tumhein wo nisbaten jo kaf-e-pa ko naqsh-e-pa se hain zara mein zakhm lagae zara mein de marham bade ajib rawabit mere saba se hain tere baghair bhi katti rahi zara na ruki shikayaten mujhe umr-e-gurez-pa se hain na bah sakin to ragon mein rawan-dawan nashtar nikal bahin to ye aansu zara zara se hain