zehn par musallat hai khauf ki faza jaise pesh aane wala hai koi hadsa jaise waqt bit jata hai chhod kar nuqush apne aaine se chehron par harf-e-be-sada jaise kitna tez jhonka tha mushk-bu hawaon ka qafila bahaaron ka le udi saba jaise jab hawa mukhalif thi tha na ham-nawa koi ab hawa muafiq hai sab hain ham-nawa jaise raushni ka hota hai zehn mein jhamaka sa wo lab-e-tabassum hai barq-ashna jaise meri fikr bhi goya ghair ki amanat hai mere fan pe hawi hai koi dusra jaise aap se 'asar' sahib lag raha hai dar hum ko aap bhi to lagte hain ek parsa jaise