ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta mohabbat mein jo dil mil jae phir kya ho nahin sakta shikayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin sakta zara sa chhed de koi to phir kya ho nahin sakta burai ka ewaz hargiz bhalai ho nahin sakti bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain maza hai hashr tak yaksu ye jhagda ho nahin sakta karen teri shikayat kya ki tu ek dost hai apna kisi dushman ka bhi hum se to shikwa ho nahin sakta ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baz aaya main koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta 'hafiz' un ki ghazal hai chot kha baithi hain jo dil par baghair is ke sukhan mein lutf paida ho nahin sakta