yahi nahin ki faqat baam-o-dar se bach ke chalun talash-e-yar mein shams-o-qamar se bach ke chalun ye rang-o-nur hain daman-kash-e-hayat magar hai maslahat ka taqaza udhar se bach ke chalun ye pech-o-kham ye nasheb-o-faraaz-e-rah-e-hayat kahan se ho ke chalun aur kidhar se bach ke chalun jo sath de na sake ta-harim-e-jalwa-e-naz main chahta hun har us rahguzar se bach ke chalun jahan jabin ko na hasil ho rifat-e-aflak us aastane se us sang-e-dar se bach ke chalun main mutmain nahin raftar-e-karwan se hanuz khata muaf agar rahbar se bach ke chalun main rang-e-gardish-e-dauran ko dekh kar 'athar' ye sochta hun ki sham-o-sahar se bach ke chalun