yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye

yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye
charagh-e-dil ki sulagta hai aaj sab ke liye

kabhi main jurat-e-izhaar-e-muddaa to karun
koi jawaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye

ufuq se chand ki champa-kali ubharti hai
sajae jate hain zewar nigar-e-shab ke liye

tere gada ne bhi saghar ka nuqrai aanchal
kahin se mang liya dukhtar-e-enab ke liye

tamam umr ba-faiz-e-nigah-e-lala-rukhan
sanad raha hun ishaaraat-e-chashm-o-lab ke liye

chaman se phul ke dhoke mein chun liye shoale
kaf-e-wafa ke liye daman-e-talab ke liye

kahin jo pursish-e-ahwal par wo mail hon
ki hum ne dil ko sambhaala hua hai jab ke liye

mujhe khabar hai bahut se mata-e-zauq-e-nazar
dukan-e-kakul-o-rukhsar-o-chashm-o-lab ke liye

sitara subh ka raushan tha sham se 'abid'
yahi thi maut harifan-e-bazm-e-shab ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close