yahi to ek shikayat safar mein rahti hai hawa-e-gard musalsal nazar mein rahti hai jaza-e-kawish-e-tamir ye mili hai hamein sada-e-tesha sada sath ghar mein rahti hai hunar kisi mein ho qismat hai us ki dar-badari ki aab-o-tab-e-guhar kab guhar mein rahti hai samaaton ka payambar hi ban sake to sune wo dastan jo lab-e-chashm-e-tar mein rahti hai har ek subh pe maqtal ka ho raha hai guman na jaane kaun si surkhi khabar mein rahti hai