yaksu bhi lag raha hun bikharne ke bawajud puri tarah mara nahin marne ke bawajud ek dhup si tani hui baadal ke aar-par ek pyas hai ruki hui jharne ke bawajud us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe masruf tha main kuchh bhi na karne ke bawajud pahla bhi dusra hi kinara ho jis tarah haalat wahi hai par utarne ke bawajud apni taraf hi rukh tha wahan wardat ka ilzam us ke nam pe dharne ke bawajud hairan hun mujh mein itni ye himmat kahan se aai kar hi gaya hun kaam jo darne ke bawajud hona pada na hote hue bhi mujhe yahan kuchh yaad rah gaya hun bisarne ke bawajud jaisa bhi ye safar ho zara ghaur kijiye kaisa rawan-dawan hun thaharne ke bawajud nikla nahin hai koi natija yahan 'zafar' karne ke bawajud na bharne ke bawajud