ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki

ye aankh bhi ye khwab bhi ye raat usi ki
har baat pe yaad aai hai har baat usi ki

jugnu se chamakte hain usi yaad ke har-dam
aankhon mein liye phirte hain saughat usi ki

har shoale ke pichhe hai usi aag ki surat
har baat ke parde mein hikayat usi ki

phir wahshat-e-dil dhundhti phirti hai hamesha
diwangi-e-gham pe mudaraat usi ki

aaine ka aur aks ka rishta mera us ka
ab jit meri us ki hai aur mat usi ki

lafzon mein sajate hain usi husn ki khushbu
aankhon mein chhupate hain shikayat usi ki

kya kijiye achchhi hamein lagti hai hamesha
diwangi-e-dil mein har ek baat usi ki

jis shakhs ne manzar ko nae phul diye the
hain daur-e-khizan par bhi inayat usi ki

aata hai nazar majma-e-ahbab mein 'adil'
lakhon mein akeli hai magar zat usi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close