zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai tumhaara zikr tumhaara pata bhi rakkha hai saja ke dhup kadi aaj ghar se nikle hain kisi ke sae ko zer-e-qaba bhi rakkha hai dhamal ke liye kya kam zamin padti hai jo aasman ko sar par utha bhi rakkha hai kisi tarah se bhi raunaq badhe mere ghar ki bujha hua hi sahi ek diya bhi rakkha hai mera shiar khayanat nahin amanat hai mila hai zakhm jo us ko hara bhi rakkha hai sada-e-dil-zadgan aae is taraf shayad daricha ek makan ka khula bhi rakkha hai