yaqin ki ret pe khali sarab bunti hun jhalakti aankh mein an-dekhe khwab bunti hun mere wajud ki zulmat pe bolne wale main dida tar se kai aaftab bunti hun ye dhup chah ki jhulsa na de kahin mujh ko tumhaari yaad se aksar sahab bunti hun hun rasan-o-dar ke qabil hai e'tiraf mujhe ki ratjagon ki sifarish pe khwab bunti hun tu mere pas mahakta hai khushbuon ki tarah tere rumal pe jab jab gulab bunti hun