ye raat tumhaari hai chamakte raho taro wo aaen na aaen magar ummid na haaro shayad kisi manzil se koi qafila aae aashufta-saro subh talak yunhi pukaro din bhar to chale ab zara dam le ke chalenge ai ham-safaro aaj yahin raat guzaro ye aalam-e-wahshat hai to kuchh ho hi rahega manzil na sahi sar kisi diwar se maro ojhal hue jate hain nigahon se do aalam tum aaj kahan ho gham-e-furqat ke sahaaro khoya hai use jis ka badal koi nahin hai ye baat magar kaun sune lakh pukaro