ye bhi mausam ajib mausam hai

ye bhi mausam ajib mausam hai
us se bichhde hain aur dukh kam hai

mustaqil us ko yaad karta hun
mustaqil ek sa hi aalam hai

ek chehra hai jis ko dekhta hun
ek aawaz hai jo paiham hai

tum bhi us ki nishaniyan sun lo
lahja khushbu hai baat shabnam hai

chikhta hun use bulane ko
aur aawaz phir bhi maddham hai

sochta hun ki main nahin rota
aur meri aankh mein bada nam hai

waise hi raste hain sare magar
sath chalta tha jo wahi kam hai

koi milta nahin mohabbat ko
ek ajab furqaton ka aalam hai

mujh se ye gham saha nahin jata
ghaaliban mujh ko ab bahut gham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close