ye roz-o-shab ki masafat ye aana jaana mera bahut se shahron mein bikhra hai aab-o-dana mera nahin pasand mere tang-zehn qatil ko ye harf-e-shukr ye khanjar pe muskurana mera ajib radd-e-amal tha wo raushni ke khilaf jala jala ke charaghon ko khud bujhana mera ye chand log mere aas-pas baithe hue yahi kamai hai meri yahi khazana mera kahan utarun janaze ko zindagi tere ki is ke bojh se shal ho chuka hai shana mera zara si baat pe ghar chhod kar chale aana phir is ke baad kabhi laut kar na jaana mera ye baat to meri zanjir-e-pa bhi jaanti hai bade sharif gharanon mein tha gharana mera mizaj apna mila hi nahin zamane se na main hua kabhi is ka na ye zamana mera amir-e-shahr ko bhi qatl kar gaya 'tariq' faraaz-e-dar pe aa ke ye muskurana mera