ye alag baat ki har samt se patthar aaya sar-bulandi ka bhi ilzam mere sar aaya zindagi chhod ne aai mujhe darwaze tak raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aaya bas dua hai ki ilahi ye koi khwab na ho koi saya mere sae ke barabar aaya barha socha ki ai kash na aankhen hotin barha samne aankhon ke wo manzar aaya kya kahen ab to ye aadat nahin jati hum se jhut bhi bole to sach ban ke zaban par aaya main nahin haq mein zamane ko bura kahne ke ab ke main kha ke zamane ki jo thokar aaya surkhi-e-mai bhi thaharti nahin har chehre par bul-hawas bhi usi mai-khane se ho kar aaya