ye dastan-e-gham-e-dil kahan kahi jae yahan to khul ke koi baat bhi na ki jae tumhaare hath sahi faisla magar phir bhi zara asir ki rudad to suni jae ye raat din ka tadapna bhi kya qayamat hai jo tum nahin to tumhaara khayal bhi jae ab is se badh ke bhala aur kya sitam hoga zaban khul na sake aankh dekhti jae ye chaak chaak gareban nahin hai diwane jise bas ek chhalakti nazar hi si jae koi sabil ki ye sehr-e-jaan-gusil tute koi ilaj ki ye daur-e-bebasi jae