ye baat baat mein kya nazuki nikalti hai dabi dabi tere lab se hansi nikalti hai thahar thahar ke jala dil ko ek bar na phunk ki is mein bu-e-mohabbat abhi nikalti hai bajae shikwa bhi deta hun main dua us ko meri zaban se karun kya yahi nikalti hai khushi mein hum ne ye shokhi kabhi nahin dekhi dam-e-itab jo rangat teri nikalti hai hazar bar jo manga karo to kya hasil dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai ada se teri magar khinch rahin hain talwaren nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai muhit-e-ishq mein hai kya umid o bim mujhe ki dub dub ke kashti meri nikalti hai jhalak rahi hai sar-e-shakh-e-mizha khun ki bund shajar mein pahle samar se kali nikalti hai shab-e-firaq jo khole hain hum ne zakhm-e-jigar ye intizar hai kab chandni nikalti hai samajh to lijiye kahne to dijiye matlab bayan se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai ye dil ki aag hai ya dil ke nur ka hai zuhur nafas nafas mein mere raushni nikalti hai kaha jo main ne ki mar jaunga to kahte hain hamare zaiche mein zindagi nikalti hai samajhne wale samajhte hain pech ki taqrir ki kuchh na kuchh teri baaton mein fi nikalti hai dam-e-akhir tasawwur hai kis pari-wash ka ki meri ruh bhi ban kar pari nikalti hai sanam-kade mein bhi hai husn ek khudai ka ki jo nikalti hai surat pari nikalti hai mere nikale na niklegi aarzu meri jo tum nikalna chaho abhi nikalti hai gham-e-firaq mein ho 'dagh' is qadar betab zara se ranj mein jaan aap ki nikalti hai